Sunday, 27 March 2016

Social Mention

2 line shayari of javed akhtar



1. Humko Uthna To Munh Andhere Tha
Lekin Ik Khwab Humko Ghere Tha

2. Khush-Shakal Bhi Hai Vo, Ye Alag Baat Hai, Magar
Humko Jaheen Log Hamesha Ajeej The

3. Kaun Sa Sher Sunayun Main Tumhe, Sochta Hun
Nya Uljha Hai Bahut Aur Purana Mushkil


4. Gin-Gin Ke Sikke Hath Mera Khurdura Hua
Jaati Rhi Vo Spars Ki Narmi, Bura Hua.

5. Unchi Imaaraton Se Makaan Mera Ghir Gya
Kuch Log Mere Hisse Ka Suraj Bhi Kha Gye

6.Un Chiraagon Mein Tel Hi Kam Tha
Kyon Gila Fir Humein Hawa Se Rahe

7.Meri Buniyaadon Mein Koi Tedh Thi
Apni Deewaron Ko Kya Ilzaam Doon

8.Voh Nehar Ek Kissa Hai Duniya Ke Vaaste
Ferhaad Ne Taraasha Tha Khud Ko Chattaan Per

9. Thakaan Se Choor Paas Aaya Tha Iske
Gira Sote Mein Mujh Per Ye Shajar Kyon?

10. Ek Khilona Jogi Se Kho Gya That Bachpan Mein
Dhundhta Fira Vo Nagar-Nagar Tanha

11. Raat Sar Per Hai Aur Safar Baaki
Humko Chalna Zara Savere Tha

12.Sab Hawayein Le Gaya Mere Samander Ki Koi
Aur Mujhko Ek Kashti Baadbaani De Gaya

13. Pehle Bhi Kuch Logon Ne Joun Bo Kar Genhoo Chaha Tha
Hum Bhi Umeed Mein Hain Lekin Kab Aisa Hota Hai

14. Ai Safar Itna Bekaar To Na Ja
Na Ho Manzil, Kahin To Pahuncha De

15. Kam Se Kam Usko Dekh Lete The
Ab Ke Sailaab Mein Vo Pull Bhi Gya

16. Aaj Ki Duniya Mein Jeene Ka Kareena Samjho
Jo Mile Pyar Se Un Logo Ko Zeena (Ladder) Samjho

17. Gali Mein Shor Tha Matam Tha Aur Hota Kya
Main Ghar Mein Tha Magar Is Gul Mein Koi Sota Kya

18. Is Shehar Mein Jeene Ke Andaaz Niraale Hain
Hontho Pe Lateefe Hai Aawaz Mein Chhaale Hain

19. Apni Vajahe-Barbaadi Suniye To Maje Ki Hai
Zindagi Se Yoon Khele Jaise Dusre Ki Hai

20. Sab Ka Khushi Se Faasla Ek Kadam Hai
Har Ghar Mein Bas Ek Hi Kamra Kam Hai

21. Humko Uthna To Munh Andhere Tha
Lekin Ik Khwab Humko Ghere Tha

22. Khush-Shakal Bhi Hai Vo, Ye Alag Baat Hai, Magar
Humko Jaheen Log Hamesha Ajeej The

23. Kaun Sa Sher Sunayun Main Tumhe, Sochta Hun
Nya Uljha Hai Bahut Aur Purana Mushkil

24. Gin-Gin Ke Sikke Hath Mera Khurdura Hua
Jaati Rhi Vo Spars Ki Narmi, Bura Hua.

25. Unchi Imaaraton Se Makaan Mera Ghir Gya
Kuch Log Mere Hisse Ka Suraj Bhi Kha Gye.

26. Lo Dekh Lo Ye Ishq Hai Ye Vasl Hai Ye Hizr
Ab Laut Chalein Aao Bahut Kaam Pada Hai

27. Veh Shakl Pighali To Her Shay Mein Dhal Gayi Jaise
Ajeeb Baat Hui Hai Use Bhulaane Mein

28. Mere Vujood Se Yoon Bekhabar Hai Vo Jaise
Vo Ek Dhoopghadi Hai Main Raat Ka Pal Hoon

29. Tumhein Bhi Yaad Nhi Aur Main Bhi Bhool Gya
Vo Lamha Kitna Haseen Tha Magar Fuzool Gya

30.Unse Ab Vaaps Kharidun Khud Ko Main
Log Jo Maange Voh Apne Daam Doon

31.Jaankar Mili Hai Mujhe Tanhai
Aa Meri Jaan Mujhko Dhoka De…

– Javed Akhtar

No comments:

Post a Comment