bada muskil se ye samjhata hu ghirne ke baad khud ko
sikh jaunga hunar ek din, logo ko parakhne ka
pr kanha pta tha, takdeer hai na ki khel bacho ka
yanha khel khilono se nhi, biswas se khela jata hai.
sab milte hai julte hai, har gam bantate hai
yanha log dosti kam, hesiyat naapte hai,
wo din the jab khel khilone mitte ke or dil sona hua krte the.
bada acche the din jab hum bache hua krte the.
subha jalti uthate, jab khabar akhabar nhi log sunate the
pehle log milte the krte the baat, ab log jamane mein whatsapp pr najar aate hai
rehne do jitna bolunga usse jyada rolunga ye kahani nhi jo khatm ho jayegi,
jndagi hai koi picture nhi, jo tension k baad happy ending ho jayegi,
roj ek panna padta hu apni jindagi, or kuch sikh jata hu.
kuch kahani bhi aati hai aisi ki, mein ro jata hu
.
manna krta hai ye kitab kahi khak ho jaye or
janha jindagi khubsurat na sahi, pr raak ki tarah saaf ho jaye
ye nhi ki mein darta hu, imtahano se
mein bhi ensan hu, darta hu baimano se.
roj biswas krta hu, samajhta hu apna sab ko.
kanha sab ki kismat achi hoti sabki, farishte milte kanha hai sabko
by:MKS
No comments:
Post a Comment