Wednesday 21 September 2016

bada muskil se ye samjhata hu ghirne ke baad khud ko
sikh jaunga hunar ek din, logo ko parakhne ka


pr kanha pta tha, takdeer hai na ki khel bacho ka
yanha khel khilono se nhi, biswas se khela jata hai.


sab milte hai julte hai, har gam bantate hai
yanha log dosti kam, hesiyat naapte hai,


wo din the jab khel khilone mitte ke or dil sona hua krte the.
bada acche the din jab hum bache hua krte the.


subha jalti uthate, jab khabar akhabar nhi log sunate the
pehle log milte the krte the baat, ab log jamane mein whatsapp pr najar aate hai

rehne do jitna bolunga usse jyada rolunga ye kahani nhi jo khatm ho jayegi,

jndagi hai koi picture nhi, jo tension k baad happy ending ho jayegi,
roj ek panna padta hu apni jindagi, or kuch sikh jata hu.
kuch kahani bhi aati hai aisi ki, mein ro jata hu
.

manna krta hai ye kitab kahi khak ho jaye or
janha jindagi khubsurat na sahi, pr raak ki tarah saaf ho jaye


ye nhi ki mein darta hu, imtahano se
mein bhi ensan hu, darta hu baimano se.


roj biswas krta hu, samajhta hu apna sab ko.
kanha sab ki kismat achi hoti sabki, farishte milte kanha hai sabko

by:MKS 

Wednesday 7 September 2016

jo rehte hai masgur, hunar tarashne mein,
chand sabdo mein unki tarif krne ki meri aukat nhi.#teachersday

by mks

Monday 5 September 2016

mein bhi befikr reh sakta hu, auro ki tarah
mujhe takleef lene ka shauk nhi hai

har pal sehta hu, tumhari nadaniyo ko
kya mujhe narajgi ka haq nhi hai,

roj chillna, wo takrar bhi karna, bada ajeb lagta hai,
mera kasoor kya hai, kya mere padana tumhe ajeeb lagta hai,

mein befikr nhi reh sakta, jo halat tumhare hai,
jo jite ho pal, baise hi pal bite humare hai,

jo li hai jimmedari, bakhobi nibhaunga,
kuch bhi karlo nadani, par behtar tumhe mein hi banunga.

dekho bahi roj roj aana, wo lecture wo details mein samjhana baccho ka kaam nhi hai
bada muskil kaam hai padana bachho ko, ye bachho ko kaam nhi hai,

kya lagta hai wo naam or mujhe upadhi dena mujhe,  mujhe maloom nhi hai
bas ye soch leta hu, ye saitani bache hi krege, ye bado ka kaam nhi hai,

kuch logo ko lagta hai mein har pal unse ladta hu,
kambhakto ye to samjho itno mein se tumhari fikr krta hu,

ek din ho gya befikr, mein to samjhoge halat kokeemat meri samjhoge, jab samjhoge apne aap ko

mein bhi befikr reh sakta hu, auro ki tarah
mujhe takleef lene ka shauk nhi hai

har pal sehta hu, tumhari nadaniyo ko
kya mujhe narajgi ka haq nhi hai,


                                                                        by:
                                                                            mks