Showing posts with label manjeet. Show all posts
Showing posts with label manjeet. Show all posts

Sunday 25 June 2017



Sunday 19 March 2017

es kadar toot chuka hu,
mein beparwahi k thapedo se

na aao khusiya, bulane se bhi,
ab mujhe darr lagta hai tumhe khone se

mein khus hu gamo mein,
jo har waqt sath rehta hai

na aao khusiya, mujhe darr lagta hai
ab tumse accha mujhe, mujhe mere gamm acha lagta hai

by: MKS

Monday 23 January 2017

dekho mein har kisi par viswas krta hu
kyunki mein riste nibhane mein viswas krta hu,

meine najdeek se dekha hai, sukhe samundar ko
jise har badal se pani ki pyas hoti hai

by:mks
Ek arshe se bethe hai
teri parchai ki panah mein,

kyun na log kahenge,
aapka asar ho gya hai

Thursday 8 December 2016

Har pal krta pareshan tu, aaj khamosh kyun hai,
Kuch to bol puchna tera dost mayus kyun hai,
Kabhi tu kosis Na kr, dosto ko parakhne ki
Na Jane haqikat banya krde, ek majak K baste

By Manjeet K. Singh mks

Wednesday 21 September 2016

bada muskil se ye samjhata hu ghirne ke baad khud ko
sikh jaunga hunar ek din, logo ko parakhne ka


pr kanha pta tha, takdeer hai na ki khel bacho ka
yanha khel khilono se nhi, biswas se khela jata hai.


sab milte hai julte hai, har gam bantate hai
yanha log dosti kam, hesiyat naapte hai,


wo din the jab khel khilone mitte ke or dil sona hua krte the.
bada acche the din jab hum bache hua krte the.


subha jalti uthate, jab khabar akhabar nhi log sunate the
pehle log milte the krte the baat, ab log jamane mein whatsapp pr najar aate hai

rehne do jitna bolunga usse jyada rolunga ye kahani nhi jo khatm ho jayegi,

jndagi hai koi picture nhi, jo tension k baad happy ending ho jayegi,
roj ek panna padta hu apni jindagi, or kuch sikh jata hu.
kuch kahani bhi aati hai aisi ki, mein ro jata hu
.

manna krta hai ye kitab kahi khak ho jaye or
janha jindagi khubsurat na sahi, pr raak ki tarah saaf ho jaye


ye nhi ki mein darta hu, imtahano se
mein bhi ensan hu, darta hu baimano se.


roj biswas krta hu, samajhta hu apna sab ko.
kanha sab ki kismat achi hoti sabki, farishte milte kanha hai sabko

by:MKS 

Wednesday 7 September 2016

jo rehte hai masgur, hunar tarashne mein,
chand sabdo mein unki tarif krne ki meri aukat nhi.#teachersday

by mks

Monday 5 September 2016

mein bhi befikr reh sakta hu, auro ki tarah
mujhe takleef lene ka shauk nhi hai

har pal sehta hu, tumhari nadaniyo ko
kya mujhe narajgi ka haq nhi hai,

roj chillna, wo takrar bhi karna, bada ajeb lagta hai,
mera kasoor kya hai, kya mere padana tumhe ajeeb lagta hai,

mein befikr nhi reh sakta, jo halat tumhare hai,
jo jite ho pal, baise hi pal bite humare hai,

jo li hai jimmedari, bakhobi nibhaunga,
kuch bhi karlo nadani, par behtar tumhe mein hi banunga.

dekho bahi roj roj aana, wo lecture wo details mein samjhana baccho ka kaam nhi hai
bada muskil kaam hai padana bachho ko, ye bachho ko kaam nhi hai,

kya lagta hai wo naam or mujhe upadhi dena mujhe,  mujhe maloom nhi hai
bas ye soch leta hu, ye saitani bache hi krege, ye bado ka kaam nhi hai,

kuch logo ko lagta hai mein har pal unse ladta hu,
kambhakto ye to samjho itno mein se tumhari fikr krta hu,

ek din ho gya befikr, mein to samjhoge halat kokeemat meri samjhoge, jab samjhoge apne aap ko

mein bhi befikr reh sakta hu, auro ki tarah
mujhe takleef lene ka shauk nhi hai

har pal sehta hu, tumhari nadaniyo ko
kya mujhe narajgi ka haq nhi hai,


                                                                        by:
                                                                            mks

Monday 1 August 2016

mudato baad lote hai tere seher mein, ek tere alawa kuch na badala

bas ek ghadi ki haer faer hai galib, bas ek pal lagta hai naam badnaam hone mein

                                                                                    by
                                                                                                       mks


ab ke baras sawan ne hamse sarat ki, hamare ghar chod kr sare seher mein barish ki

na jane kis ghadi mein hamne apne asiyana chuna, khud apne hatho se musibato ka fasana likha

ap kise kahu  kasorbar  meri barbadi ka. 

kya mukaddar mein kharabhi the mere, ye mukhadar mein tera aana tha

                                                                                     by: Mks


Tuesday 31 May 2016

kar gujar kar manjilo par ek din pahuch jaunga,
hazaro ki mehfil se dur,  tanha so jaunga.

bahut chala hu mein, badi door tak kiya safar.
kabhi jamane mein nazare dekhe, kabhi apno mein begane dekhe.

khus-mijaj mukhadar jamane mein pehchan meri ,
or chere par har waqt muskan meri 

ek din yaad rakhega jamana hame bhi kahaniyo 
kya banda tha ajab nirala andaaj tha

par loot gya jamane mein, kuch kamiyo se
bebaq boltha tha, or kabhi kisi ko madat ko na nhi bolta tha.

chalo chhodo ye baate kehne acchi lagti hai, 
acchi dosti or sache dosto ki sirf kahaniya hi sacchi lagti hai

                                                              by. mks


Tuesday 24 May 2016

hamara ek andaj ne, unke sajde mein kami kardi,
                                                                          or
hamari tehjeeb ne khud apne khanjar se khudkhusi karli.

Friday 29 April 2016

masti ki pathsala mein beethe the 10 saal pure,
khel khele anokhe, 
sikhe naye naye salikhe,
kabhi ruthe kabhi manaye,
kabhi chooti chooti baato per gubbaro se muh fulaye

par kuch to khas tha un lamho mein,
jo abtak yaad bani hai, 
chhoti se group mein meri ab bhi jaan basi hai,
lo dour aagya konsa jo, dur sab mujhse ho gaye,
ik din na bittha unse mile bina, 
lo bin mile pure char saal beet gaye,

ik-ik baate yaar krke, 
kabhi kabhi muskra jaata hu,
ab bada ho gaya hu na, jab rota hu to chup jaata hu,

ik arse ke baad mile thi, ham jindagi mein mele mein
jab sabhi masgur the, rooti or jindagi ke jhamelo mein

samay ki raftaar itni teez thi, ham dono ki kuch na bole,
jab ghar pahuche done hi aapne, raaz bachpan ke khub khole

sala wo yaar mera mila tha, masti ki baat to dekho kitna bolta tha us jamane mein
sala aise nikal gaya jaise muh uska sila tha,

itne salo  mein na phone na email, na fb par dikha tha
or sala jab us party mein dikha tab
to  2 baat na ho saki, 

by mks




ye sharab ki botal bhi kamal hai
kabhi tootle dilo ke liye maraham
kabhi mehfilo ki shan hai,
kabhi bhulane mein dard ko
kabhi rulana mein hamko masgur rehti hai
kafir ki adat to dekho,
khusimein pita hu, hosh madhosh ho jata hai
gam ka alam na pucho, kya haal hota hai
har boond-2 mein wo hotabhai, zarra uska daman, pemana labo ke saman hota hai,

itna likh kar ek baat yaad ai, badi khaofnaak thi wo raat jab wo mere pass aai,
mein masgur tha pemano ki beech mein,
iqwal ka farreb lekar bethi,
mere hi pass
mere zarra zarra ruh ka tere likha hai,
le tarajo tool bafa ko, kisne biswas jita hai,
jab yaad teri aati thi dil jalane ko,
ye botal hi thi jo aati thi aag bhujane ko,
itna sunkar wo, chal uthi, ek nazar dekh kar wo jaan meri bol uthi,
mein to looti thi jaan, teri na kar numais ab, 
le taraju, es  botal ki yaari jeeti or bafa meri jhuti jai

by mks


Thursday 24 March 2016

rango ka khauf to ye nhi ho sakta jo raste sunsan pade hai,
sukurguzar hai ye sadke teri, social media
yonn duriya to kam kr di logo ke bich mein,
pr najdikiya khatm krdi dilo ke bich mein :'(

Sunday 17 January 2016

har bar bahana bnaker dilko samjha deta hu,
kabhi to meri bhi kismat badlegi waqt ki tarah
mein bhi jhagdunga, hasunga dost k sath mein,
ye sapna roj dekhta hu mein raat mein

ankhe bhi to jalim hai jo roz khuljati
dilo ki hasrat dil mein reh jati hai
sapna to sapna hai jo subhah tak bhikhar jayega
har roj dil ko samjhata hu, hakikat mein na sahi mera bhi dost, sapno mein jarur ayega

                                                                                         by mks




Saturday 16 January 2016

mere halato se bakif hai jamana sara,
toota hua dil or chand sanse, or jindagi behal hai
mere halat ka majak na udao dosto
na pucho kya "haal hai"

Thursday 14 January 2016

meri khamosiya ka andaza es kadar mat lagao,
khamosh alfaj hue hai mere, aag ander ab bhi jinda tumhare liye
.